Jitne Bhi Zakhm Hain Mere Dil Par Lyrics

Presenting you Jitne Bhi Zakhm Hain Mere Dil Par Lyrics by Nusrat Fateh Ali Khan. The song name is Gardashon Ke Hain Mare Huyiyie.

Jitne Bhi Zakhm Hain Mere Dil Par Lyrics

Gardishon K Hain Maray Huay Na
Dushmano K Sataye Huay Hain
Jitne Bhi Zakham Hain Mere Dil Per
Doston Ke Lagaye Huay Hain

Ishq Ko Rog Maar Dete Hain
Aqal Ko Sog Maar Dete Hain
Aadmi Khud Ba Khud Nahi Marta
Doosre Log Maar Dete Hain

Log Kaanton Se Bach K Chalte Hain
Humne Phoolon Se Zakhm Khaye Hain
Tum To Gairon Ki Baat Karte Ho
Hum Ne Apne Bhi Aazmaye Hain

Kasaaye e Deed Le K Duniya Mein
Maine Deedaar Ki Gadayi Ki
Mere Jitne Bhi Yaar Thay Sab Ne
Hasb e Taufeeq Be Wafai Ki

Jitne Bhi Zakham Hain Mere Dil Per
Doston Ke Lagaye Huay Hain
O Jab Se Dekha Tere Qad o Kamat

Tumhe Dekha To Zahid Ne Kaha
Emaan Hi Ye Hai K Ab Insaan Ko
Sajda Rawa Hone Ka Waqt Aaya
Jab Se Dekha Tere Qad o Kamat

Ae Mast e Naz Dekhne
Walon K Dil To Dekh
Paamaal Ho Gaye Teri
Raftaar Dekh Kar
Jab Se Dekha Tere Qad o Kamat

Giraya Hath Se Sheesha
Surahee Tor Di Maine
Jab Se Dekha Tere Qad o Kamat

Sharaab Seekh Pe Daali
Kabaab Sheeshay Mein
Jab Se Dekha Tere Qad O Kamat

In Ankhon Se Qayamat Ki
Nishani Kaun Dekhe Ga
But e Kaafir Teri Uth ti
Jawani Kaun Dekhe Ga
Jab Se Dekha Tere Qad O Kamat

Jab Se Dekha Tere Qad O Kamat
Dil Pe Tuti Hui Hai Qayamat
Har Bala Se Rahe To Salamat
Din Jawani Ke Aaye Huay Hain

Aur De Mujhko De Aur Saaqi
Qareeb Aur Bhi Aao K
Shauq e Deen Mittay
Sharaab Aur Pilao K
Kuch Nasha Utray
Aur De Mujhko De Aur Saaqi

Apne Dil e Sil Chak
Ko See Sakta Hun
Mehroom e Karam Ho K
Bhi Jee Sakata Hun
Mauqoof Nahi Jaam Pe Rindi Meri
Saaqi Tere Ghussay Ko
Bhi Pee Sakta Hun
Aur De Mujhko De Aur Saaqi

Aur De Mujhko De Aur Saaqi
Hosh Rehta Hai Thora Sa Baaqi
Aaj Talkhi Bhi Hai Inteha Ki
Aaj Wo Bhi Paraye Huay Hain

Kal Thay Aabaad Pehlu Main Mere
Ab Hain Ghairon Ki Mehfil Main Daire
Meri Mehfil Main Kar K Andhere
Apni Mehfil Sajaye Huay Hain

Apne Hathon Se Khanjar Chala Kar
Kitna Masum Chehra Bana Kar
Apne Kaandhon Pe Ab Mere Qatil
Meri Mayat Uthaye Huay Hain

Mahwashon Ko Wafa Se Kya Matlab
In But’ton Ko Khuda Se Kya Matlab
Inki Masoom Nazron Ne Nasir
Log Pagal Banaye Huay Hain

Gardishon K Hain Maray Huay Na
Dushmano K Sataye Huay Hain
Jitne Bhi Zakham Hain Mere Dil Per
Doston Ke Lagaye Huay Hain

Video Song

This is the end of Jitne Bhi Zakhm Hain Mere Dil Par Lyrics.

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *